Tips & Tricks

Instagram Par Followers Kaise Badhaye [Latest Method 2022]

Agar aap ye janna chate hai ke Instagram Par Followers Kaise Badhaye to es post mein, mein aapko ko kuch tips batawonga jis ke throughaap apne Instagram par followers badha sakte hai.aap es post ko end thak padhte rahe qunke es post mein, mein ne instagram par followers badhane ke saare tarike cover kiye hai.

  

Aap ne agar new Instagram account banaya hai aur aap ke Instagram account par koyi followers nahi hai to aap apne Instagram ke account par followers ko badhana chate ho to main aapko Kuch aise tips and tricks bantane wala ho jis se aap apne Instagram ke followers ko free aur speed ke saat badha sakte ho.

 

Also Read This Posts.⇓

 

Dosto agar aapne youtube ya google par Instagram Par Followers Kaise Badhaye search kya ho to aap ko bohut saare aise videos aur post mile hoge jis se aapko time west kiye elawa kuch nahi mila hoga.

Aap ko youtube par kuch websites aur apps ke baare mein bataya jata hai jo ke bilkul fake hoti hai.aap neche dye gye real tarike use kar ke apne instagram ke followers ko badha sakte hai.

Instagram Par Followers Kaise Badhaye : 14 tips jo instagram ke followers ko badhane main aapka madad kare ga.aap kisi bi tips ko follow karke apne instagram ke followers ko badha sakte ho.

 

Instagram Par Followers badhane ka tarika

1.apne Instagram account par aik acha logo ya pir apna aik acha photo edit karke lagaye jis se aapke instagram ke account ka look acha hoga aur loog use follow kare ge aur instagram auto followers badhe ge.


aap apne instagram ke profile cover par aik acha photo edit karke lagaye ta ke aapke instagram ke profile ko loog daikne ke baad acha lagai aur aapke instagram account ko follow kare.
 

instagram par followers kaise badhaye

pahli aur sabse eham cheez ye hai ke aap aik aisi picture upload kare jo beautiful nazar aaraha ho apne profile photo ke elawa aap apne Instagram mein photo ko publish karne se pahle sahi tarike se edit kare.

take logoo ko aapka photo acha lage qunke zyada loog aapke photo ko daike kar follow karte hai es lea aap photo ko sahi edit karke publish kare. 

apne profile ko complete kare apne profile mein apna aik acha bio write Kare aur logoo ko apne baare mein bataye jis bi topic par aapne ne apna instagram account banaya ho.

jab bi hum instagram par jate hai to hum instagram ke profile photo ko daikte hai aur us ka bio check karte hai aapko apne baare main sahi bio write karna padhe ga.

2.aap apne instagram topic ke releted post ko edit karke post kare aur logoo ke saat jude rahe aur logoo ke question ka answer zaroor dai take loog aapke instagram ko follow kare.

aapke audiunce aapse instagram par jo bi question karte hai aap us ke related post kare es se aapke instagram ke post par engagment badhe ge aap 100 percent chance hai ke read karne wala apke instagram ko follow kare ge.

 

3.Apne instagram account par hamesha active rahe aur apne instagram par rozana 2 se 3 post kare es se aapke audiunce aapke saat aapke instagram account par judhe rahe ge balke aap ke post ko like karne ke saat saat comments bi kare ge jis se aapke instagram post ko ranke hone main help mile ga aur agar aapka instagram post ranke hogya to es ke saat aapke account par followers bi badhe ge.

 

4.Aap trending post se fayda uta sakte hai aur aap kisi bi trending topic par post ko publish kare qunke zyada tar loog trending topic ke baare mein search karte hai aap apne instagram account par trending topics ka hashtag (#) lagaye jis se aapka post viral ho sakta hai aur aapke followers bi badh sakte hai.

 

5.Post ko viral karne mein hashtag (#) ka istemal bohut lazim hai. lehaza jab bi aap apne instagram par koyi post karte hai to aap apne post ke related hash tag (#) zaroor lagaye jis se aapka post ranke hoga.

jab bi koyi hash tag (#) search kare ga to aap ne jo bi hash tag (#) lagy hoga apne post ke related wo post hash tag (#) ke madad se us ko show hoga jis se aapka post viral ho sakta hai.aur aap apne instagram account par followers ko badha sakte hai.

 

6.Agar aapke pass pahle se instagram account hai to aap apne instagram ke account ko facebook ke saat link kare jis se aapko ye fayda hoga ke jab bi koyi aapke facebook par jaye ga to ko aap ka instagram account show hoga aur zyada tar ye chances hoga ke aapke facebook ke friends aapko follow kare ge aur es tarike se aapke instagram ke followers badhe ge.

 

7.Apka agar youtube channel hai aur aap apne youtube channel par continue videos upload karte ho to aap apne youtube channel ke through apne subscribers ko bi bata sakte hai ke wo aapke instagram ke account ko follow kare.es se aapke subscribers aapko youtube par follow kar sakte hai aur apne instagram ke followers ko badha sakte hai.

instagram par followers kaise badhaye

 

8.Agar aapka aik facebook id ya facebook page hai to bi aap apne facebook id ya page ke through logoo ko bata sakte ke wo aapko instagram par zaroor follow kare jis se aapke facebook friendes ya facebook page followers aapko instagram par follow kar sakte hai es tarike se bi aap apne facebook id ya facebook page ke through apne instagram ke followers ko badha sakte hai.

instagram par followers kaise badhaye

9.Aapke paas agar twitter hai aur aap twitter ka use karte hai to twitter ke through bi aap apne instagram ke followers ko badha sakte hai aap apne twitters ke followers ko bataye ke wo aapke instagram account ko follow kare to aapke twitter ke followers aapko instagram par follow kar sakte hai.

instagram par followers kaise badhaye

10.Agar aapka koyi website hai to aap apne website ke post mein ya apne website ke main page mein apne instagram ka link dai sakte hai jis se aapke website ki viewers aapko instagram par follow kar sakte hai aur aap apne instagram ke followers ko badha sakte hai.

 

11.Aap apne instagram account ka ads laga kar bi aap apne instagram ke followers ko badha sakte hai.agar aapke paas badget hai aur aap ad run karna chate hai to aap ads ke through bi apne instagram account ke followers ko badha sakte hai. lakin ye method paid hai agar aap ke paas paise hai to aap ad run kar sakte hai agar nahi to aap ese chor sakte hai.

 

12.Agar aapke paas zyada time nahi hai aur aap apne instagram account par rozana ke bunyad par post karna chate hai to aap instagram managing tool ka use kar sakte hai.

Aap apni post ka time aur date set karke post ko shediul par laga sakte hai.aap ne jo bi time aur date set kya ho post automatic post ho jai gi.

En social media tool ki madad se aap apne doosre social accounts ko bi update rak sakte hai jo aapka time bacha sakte hai.badhe aur busy loog bi esi social media managment tool ka use kar ke apna time bachate hai es mein kuch tool paid aur kuch free tool hoti hai .

Agar aapka instagram account naya hai aur aap ke paas budget nahi hai to aap free tool use kar sakte hai for example Buffer.com , crowdfire , Hootsuite 

 

 

13.jab bi hum instagram ya kisi bi doosre social network par kisi bi post ko like ya comment karte hai to ye hamare active rahne ko zahir karte hai.aur instagram account ko zyada se zyada logoo tak ponchata hai.

Es se loog aapka instagram account check karta hai agar aapka instagram account us ko pasand aata hai to aapke instagram account ko follow karte hai 

kabi kabi ye bi hota hai ke jab hum kisi doosre ke post par comment ya like karte hai to wo bi aapke post par comment aur like karte hai lehaza aap apne instagram followers ko badhane ke lea aap doosro ke post par zaroor comments kare. 

instagram par followers kaise badhaye

14. Agar aapka youtube channel ya pir website hai to aapko apna youtube aur website ka link daina hoga jis se aapka account proffisional lage ga aap apne instagram account mein hashtag (#) bi use kare jis se aapka post ranke hoga aur aapke instagram account par followers badne ke chances zyada ho jayege.

Aik din mein kam se kam 2 se 3 post zaroor post kare apne topic ke related take aapke jo followers hai wo aapke saat continue jode rahe es lea rozana 2 se 3 post zaroor kare apne topic ke related.

 

 

 

instagram par followers badhane ka app

Play store par instagram ke followers ko badhane ke bohut saare apps hai jis ke through aap ko bataya jata hai ke aap es app ke through apne instagram ke followers ko badha sakte hai.

Aap palystore se koyi bi aap download kar sakte hai download karne ke baad aapko kuch steps follow karna hota hai jo neche dye gye hai.

  • Aap open kare.
  • Apne instagram ke account ka user name and password enter kare.
  • Aap jitne chahe apne followers ko badhate jaye sellect kare.

 

congratulation aap ke instagram ke followers badh chuke hai aise jitne bi playstore par aapko apps milege wo fraud hoga jis ke baad aapka instagram account hack bi ho sakta hai aur aap ke instagram account se cyber crime bi ho sakta hai.

agar aap ne bi apne instagram ke followers ko badhane ke lea apps ka use kya hai to aap apne instagram ka passowrd change kare. agar aap passowrd change nahi karo ge to aapka instagram ka account hack ho sakta hai ya aapke instagram ke account se cyber crime ho sakta hai jo aap ke lea bohut mushkil hoga.

Note: mein aapko suggest nahi karo ga ke aap aise apps ka use kare apne instagram ke followers ko badha ne ke lea baqi aap ke uper depend hai aap use karte hai ya nahi.

 

Website ke through Instagram par followers kaise badhaye

Google par aap ko aise bohut saare websites mile ge jis ke through aap apne instagram ke followers ko badha sakte hai.lakin aapko website ke through instagram ke followers badhane ke lea google par aik acha website search karna padhe ga 

qunke google par bohut aise websites availabe hai jis se aap apne instagarm ke followers ko badha sakte hai lakin es mein aapko kuch websites fraud ke bi mile ge es lea aap ko google par aik ach website doondna padhe ga.

apne instagram ke followers ko badhane ke lea jis ke baad aap apne instagram ke followers ko badha sakte hai.

 

NOTE: Friends aap ne aise bohut saare article padhe honge aur aise bohut youtube par videos diake hoge jis mein aapko kisi website ya pir diffrents aap ke baare main bataya jata hai jis ko aap use karte aur aap apne instagram ke followers ko badate hai.

to aise mein aap ka instagram account ya to suspend kar diya jata hai ya pir aapka instagram account hack kar dya jata hai qunke ye jitni bi method hai ye un leagle hai aur instagram ke terms and condition ke khilap hai aap kisi bi aap ya bekar website ke through apne instagram ke followers ko nahi badha sakte.

 

Umeed hai aapko ye article pasand aya hoga Instagram Par Followers Kaise Badhaye es tarha se aur bi article padhne ke lea aap hamare blog ko subscribe kar sakte hai agar aapko es post ke baare mein koyi bi aur jankari leni ho to aap comment box mein comment karke pooch sakte hai.

2 thoughts on “Instagram Par Followers Kaise Badhaye [Latest Method 2022]

  • That is a good tip especially to those new to the
    blogosphere. Brief but very accurate information… Many thanks for sharing
    this one. A must read article!

Comments are closed.